Usay Kehna Kitabon Main Rakhy Sokhe Hue Phool,
Us Ke Loat Anay Ka Yaqeen Ab Tak Dilatey Hain,
Usey Kehna Ke Us Ki Jheel Si Aankhein Kisi Manzar Pe Cha Jain.
Tu Sab Manzar Younhi Phir Bheeg Jatey Hain.
Usay Kehna Ke Ke Thandi Barf Per Koi Kisi Ke Sath Chalta He.
Tu Kadmon Ke Nishaan Phir Se Us Ke Loat Aany Ke Nishaan Dil Par Banaty Hain,
Usay Kehna Ke Us Ki Bheegi Aankhon Ka Wo Aansoo ,
Sitary Ki Tarah Ab Bhi Hamin Shab Bhar Jaagat He,
Usay Kehna Ke Barish Khirkion Pay Us Ke Aansoo Paint Karti He,
Usi Ka Naam Likhti He,Usay Bhi Gungunati He,
Usay Kehna Ke Khushboo ,Chandni,Tarary,Rasty,Ghata,
Kajal,Mohaabat,Chandni,Shabnam,Hawaain,
Raat,Din,Badal,Sabhi Naraz Hain Hum Se,Usay Kehna.