Us Ne Yeh Ahsan Fermaya To He Mudat Ke Baad
Ik Payam-E-Dilbari Aaya To He Mudat Ke Baad
Mujh Ko Saqi Ne Isharey Se Bulaaya He Udher
Us Ka Yeh Andaz Phir Paaya To He Mudat Ke Baad
Maykashon Ne Rasm-E-Makhana Badal Di Dekhiye
Her Kisi Ko Jam-E-May Aaya To He Mudat Ke Baad
Kis Main He Tab-E-Nazar Ab Dekhna He Yeh Unhein
Rukh Se Khud Pardey Ko Serkaya To He Mudat Ke Baad
Phaili He Her Samt Masti Aour Khushboo Husn Ki
Us Ne Anchal Apna Lehraya To He Mudat Ke Baad
Merey Zahn-O-Dil Main Woh Youn Raqs Kertey Aagaye
Merey Dil Ko Us Ne Behlaya To He Mudat Ke Baad
Tum Agar Chaho To Main Haar Pehna Doon Tuhain
Ashkon Ka Toofan Uter Aaya To He Mudat Ke Baad
Aagayi He Aaj Rahi Phir Se Unki Dil Main Yaad
Ziker Her Ik Shehre Main Aaya To He Mudat Ke Baad