Unse Bichad Kar Yaad Unki Aayi Hai Bahut
Chaandni Ne Tapish Dil Mein Jalaayi Hai Bahut
Dekha Hee Nahin Usne Ankhon Se Tapakta Khuun
Uske Lab O Laehje Mein Banawat Aayi Hai Bahut
Dil Hua Be Jaan Tau Surkh Yeh Rang Kaisa
Ek Waade Pe Lahu Mein Rawaani Aayi Hai Bahut
Laut Aane Ka Waada Kar Gaya Wo Jhootha
Jabke Mujhse Juda Ho, Uspe Khushi Chaayi Hai Bahut
Ladh Kar Khushi Cheen Lete Hain Aksar Log
Khushamadon Par Bhi Humne Maat Khaayi Hai Bahut
Na Aao Yaad, Na Chalkaao Beeti Yadon Ke Bhanwar
Karo Ehsaan Sula Do Mujhe, Neend Aayi Hai Bahut
Aaj Hai Hamare Saaye Se Bhi Sar Garaan Woh
Kal Jisko Hamari Shokhi O Nazaakat Bhaayi Hai Bahut
Mere Qatl Kee Usko Sazaa Hogi Tau Kyunkar
Uski Gawaahi Mein Mukar Jaane Ki Zidd Aayi Hai Bahut
Waqt Kar Gaya Humse Saazishein Kuch Aise
Ke Tareekhiyon Se Rafaaqat Badhaayi Hai Bahut
Suna Hai Khuda Deta Hai Ik Ik Ko Mauka Zaroor
-Ë—paras-‘ Tune Kismet Hee Siyaah Paayi Hai Bahut