Unn Chand Sitaaron Key Bikhrey Huwe Shahron Mein
Unn Noor Ki Kirnon Ki Thahri Hui Lahron Mein
Thahri Hui Nahron Mein, Soiee Hui Lahron Mein
Ai Khizr-E-Haseen Ley Chal, Ai Ishq Kahin Ley Chal
Aankhon Mein Samaai Hai Ik Khwaab-Numaa Duniya
Taaron Ki Tarah Raushan Mahtab Numaa Duniya
Jannat Ki Tarah Rangeen Shadaab Numaa Duniya
Lillah Wahin Ley Chal Ai Ishq Kahin Ley Chal
Yeh Dard Bhari Duniya Basti Hai Gunaahon Ki
Dil Chaak Ummidon Ki, Saffak Nigahon Ki
Zulmon Ki, Jafaaon Ki, Aahon Ki, Karaahon Ki
Hain Gham Sey Hazin, Ley Chal Ai Ishq Kahin Ley Chal
Qudrat Ho Himaayat Per, Humdard Ho Qismat Bhi
Salma Bhi Ho Pahloo Mein, Salma Ki Muhabbat Bhi
Har Shai Mein Faraghat Ho, Aur Teri Inaayat Bhi
Ai Tifl-E-Haseen Ley Chal, Ai Ishq Kahih Ley Chal
Hum Prem Pujari Hain, Tu Prem Kanhaiyya Hai
Hum Prem Kanhaiyya Hain, Yeh Prem Ki Nayyaa Hai
Yeh Prem Ki Nayya Hai, Tu Iss Ka Khiwayyaa Hai
Kuch Fikr Nahin Ley Chal, Ai Ishq Kahin Ley Chal