Unki Tasvir Hathon Mein Liye Bus Dekhta Rehta Hoon
Kabhi Khushi Kabhi Gum Tasvir Se Bantta Rehta Hoon
Kabhi Is Andaz Me Kabhi Us Andaz Me Woh Dikhai Dete He
Muskurahat He Unki Aaisi Ki Main Unko Tankta Rehta Hoon
Kabhi Londan To Kabhi Paris Chhod Kar Haqikat Sapno Me Rehta Hoon
Zindagi Ki Sachai Kadvi Hoti He Yaaro Har Pal Yeh Mehsoos Karta Hoon
Chhod Kar Chale Gaye Woh Humko Bich Rah Fir Bhi Intezar Karta Rehta Hoon
Aakhoon Se Nikle Dard Bhare Aasuoko Bhi Khushi Ka Naam Deta Hoon
Milti He Mehfil Muje Aapne Dosto Ki Sada Fir Bhi Tanha He Rehjata Hoon
Yeh Kaisa Rog Diya Tune Muje -E- Khuda Jo Me Bhi Samaj Nahi Pata Hoon
Tanhai Me Kabhi Rota He Dil Yaaro Use Haansi Ki Aad Me Chupta Hoon
Dil Jo Mehsus Karta He Bus Woh Aap Sab Se Baantta Rehta Hoon