Unki Tasveer Ko Seene Se Lagaya Jaye
Kiyon Na Tanhai Mein Jee Behlaya Jaye
Wo Jo Duaa Mangta Thaa Mere Marne Ki
Meri Mayyat Mein Usko Bhe Bulaya Jaye
Neend Ki Chhah Mein Chalo Yu Bhe Karle
Suni Aankho Mein Khabon Ko Sajaya Jaye
Phulon Ke Sehar Mein Zakham Bharne Lage
Patthron Ke Sehar Mein Ghar Banaya Jaye
Wo Jo Haste Hain Beemar-E-Ishq Pe Aksar
‘Veer’kiyon Na Aaj Unko Bhee Rulaya Jaye