Unki Seerat Me Wo Baat Na Rahi Or
Hamne Bhi Baaton-Baaton Me Muskurana Chhod Diya,
Wo Kehte Tum Badal Gaye Ey ‘Chaand’
Or Hamne Jhoothi-Sachhi Sunakar Unhe Behlana Chhod Diya,
Or Kabtak Bhala Us Ankahe Se
Vaade Ki Raah Takte Ey Dil,
Jo Raah Me Mila Saath Ho Liye
Us Chaand Ke Deedaar Ko Raat Aankhon Me Bitana Chhod Diya,
Apne Kehte Hi Rahe Ke Kuchh Paas Aao
Nazdikiyaan Khud Hi Barh Jaaeingi Zara Khul Ke Pesh Aao,
Us Suraj Ki Tapish Ne Is Kadar Jhulsaya Ey Chaand
Paas Rehkar Bhi Hamne Apno Se Milna-Milaana Chhod Diya,
Shikwa Sa Rehta Tha Har Ek Ko
Apni Shakshiyat Apne Khayaalaat Se,
Or Hamne Bhi Orh Li Tang-Dili Kuchh Is Kadar
Apnon Me To Rahe Per Unse Rishte Banaana Chhod Diya.