Unki Khoobsurti Ka Kahan Hame Andaza Tha,
Parde Me Chupa Rakha Jisne Chand Aadha Tha
Hame Hui Apni Khabar Qatl Hone Ke Baad
Sitamshahar Ka Andaaz Itna Saada Tha
Sajde Kaam Na Aaye Puja Rang Na Laayi
Kaafir Ussi Ne Kaha Jo Mera Qaaba Tha
Kambakht Dil Hi Tha Jo Dagaa De Gaya
Gunaah-E-Ulfat Ka Nahi Mera Irada Tha
Nadaan Dil Ne Rakhi Unse Wafa Ki Umeed
Wafa Jinme Kam ,Garoor Magar Zyaada Tha
Ab Yahin Khod Daalo Meri Kabar O Yaaro
Yahi Jagah Hai Jahan Milne Ka Unka Waada Tha
Ye Aur Baat Hai Ke Qatl Hua Pehli Hi Nazar Me
Zulm Sehne Ka Waise Bahut Humme Maada Tha
Khud Ko Samjhta Tha Koi Baadshah Ya Wajiir
Ishq Ki Duniya Me Parwane Tu Bas Pyaada Tha