Unhe Pariyon Ke Kis.Se Sunate Ho
Jinhe Do Waqt Pet Bhar Bhi Nahi Mil Paata,
Ab Chodo Bhi Ye Dil.Lagi, Ey Dil
Tumhe To Dil Behlaana Bhi Nahi Aata,
Chalo In Shehron Ki Chamak Se Door
Mai Tumhe Ek Or Duniya Dikhata Hoon,
Sookhe Khet-Bhukhe Pet,
Toote Makaan- Unme Surakshit Insaan,
Ye Sab Ek Saath Dikhata Hoon,
Mere Netaaon Ke Safed Kurte Se Bhi
Maila Hota Hai Inki Laashon Ka Kafan,
Inki Chatoon Ke Suraakhon Se
Zaahir Hoti Sachhaai Par Mai
Apne Chaand Hone Pe Sharmaata Hoon,
Ab Or Na Keh Paaunga Ey Dil
Mai Tumse Asliyaat Apni,
Mera Desh Mera Guroor Bhi Hai
Apni Or Iski Tauheen Me Mai
Koi Phark Nahi Kar Paata Hoon
Mere Dil Ke Kone Me Bhi
Ek Tangdil Raha Karta Hai,
Waqt Uske Paas Bhi Nahi Kuchh Karne Ka
Wo Bhi Bas Tute Ghadon Me,
Paani Hi Bhara Karta Hai.