Ungli To Doston Pe Uthaaya Na Kijiye
Ye Dosti Hai, Aise Nibhaaya Na Kijiye
Darr Hai Ke Rooth Jaye Na Sab Aap Se Kahin
Aaina Dosto Ko Dikhaya Na Kijiye
Jo Saaye Raat Ko Sada Roshan Kiya Kare
Chingarian To Aisi Bujhaaya Na Kijiye
Jo Tark Kar Chuke Hain Tumhein Raah-E-Dard Per
Unki Khushi Ka Jashan Manaaya Na Kijiye
Muddat Ke Baad Zakhm Ki Lag Jaaye Jub Bhi Aankh
Aahat Se Apni Usko Jagaaya Na Kijiye
Toofaan Mai Doob Jaaye To Mohsin Nahi Malaal
Saahil Pe Laa Ker Kashti Dubaaya Na Kijiye