Umra E Ishq Naadani Mein Guzar Gayi,
Kya Thi Woh Mussarat Ke Dekhne Mein Nikal Gayi,
Yun Zamaana Toh Har Waqt Dil Ke Kareeb Tha,
Na Jaane Kyun ” Masroor ” Dariye Se Leher Khisak Gayi,
Peene Ka Intezaam Toh Har Shaam Hua Lekin,
Aaj Chandni Khud Zameen Par Bikhar Gayi,
Chand Ko Toh Badnaam Kiya Tha Usne,
Ke Chand Dekhte He Aaj Uski Zubaan Badal Gayi,
Kya Sach Se Mulaaqat Karte The Ab,
Saari Zindagi Bewafaai Mein Nikal Gayi,
Kabar Tak Hum Pohach Bhi Na Sake,
Raastein Mein Itne Kaatein Ke Maut Bhi Sarak Gayi…

By Masroor