Umer Bhar Younhi Tanha Hum Muskaratey Rahey
Khawboun Ko Haqiqat Sey Chupatey Rahey
Taqdeer Mein Tu Sahayad Likha Hi Na Tha
Kismat Sey Rooz Maat Khatey Rahey
Us Ko Chaha Bhi Tu Izhar Na Karna Aaya
Kut Gai Umer Sari Hamein Pyar Na Karna Aaya
Us Ney Mangi Tu Faqt Hum Sey Judai Mangi
Aur Hum Thei Humein Inkar Na Karna Aaya
Mein Usey Her Baat Ka Jawab Kia Detaee
Apney Puraney Zakhmoun Ka Hisab Kiya Detee
Ek Pankhari Jo Wo Sambhal Na Saka
Us Key Hath Mein Pura Gulab Kia Detee
Ghum Tera Chahatoun Mein Dhalta Hai
Raat Din Ye Chiragh Jalta Hai
Jis Tarah Badal Gai Ho Tum
Is Tarah Kia Koi Badalta Hai
Shikwa Lub Per Aaey Tu Lub Sii Letey Hain
Haan Ussi Key Kehney Per Kuch Din Or Jee Letey Hain
Hum Jisey Kehtey Hain Ek Baar Doost
Ussi Key Kehney Per Zahar Bhi Pii Letey Hain
Yaad Karna Bhi Na Chaho Gey Mager Yaad Aaein Gey Hum
Terey Khawaboun Teri Neendoun Mein Youn Chah Jaein Gey Hum
Meri Tasweer Ko Dekho Gay Her Ek Shai Mein Mager
Teri Pohouch Sey Jab Kahein Duur Nikal Jaein Gey Hum
Us Ney Mujh Ko Diye Hain Qadam Qadam Per Fareib
Jo Baat Karta Tha Mujh Sey Wafa Key Lahje Mein