Umeedon Ke Chiraag Raahon Mein Jalaye Rakhna
Raat Lambi Hi Sahi Hauslon Ko Jagaye Rakhna
Kisi Ko Muqamal Jahan Milta Nahin Dunia Mein
Mohabbat Ki Tasveeron Se Ghar Ko Sajaye Rakhna
Churane Wale Aankhon Se Kaazal Bhi Chura Lete Hai
Hasinaon Se Milo To Nazron Ko Jhukaye Rakhna
Khanakte Hue Jaam Aksar Chalak Bhi Jaate Hai
Hanso Khul Kar Magar Ashkon Ko Chupaye Rakhna
Jab Aate Hai Aatish-Fishaan Kohraam Macha Dete Hai
Gam Ke Angaron Ko Seene Mein Dabayein Rakhna
Patjhar Mein Gir Jaye Wo Patte Ham Nahin Kureel
Muflisi Ke Daur Mein Bhi Asmat Ko Bachaye Rakhna