Umar Bhar Talash Thi Jiski, Kya Woh Sirf Ek Lamha Tha
Beet Gaye Kitne Saal Chate-Chate, Mila To Sirf Ek Pal Tha.
Apni Umeed Ki Laharon Sey Jhoojte Rahe,
Pahunche To Kinara Fakat Reth Ka Tha.
Kho Gaya Palak Jhapakte Hi, Kitna Tez Pani Ka Bahav Tha,
Bade Toofan Uthe, Gubar Sa Chaya,Jab Barsa To Katra Ansoo Ka Tha.
Thi Chahat Tabir-E Sirf Ek Khawab Ki, Aur Laga Waqt Zindagi Bhar Ka Tha.
Muthi Band Ki, Lakiron Ko Kaid Kiya, Sanjoya Pyar Sey,
Phir Bhi Woh Khwab Hi Tha.
Itna Haseen, Khubsoorat Rango Ka Dhani,
Toota To Ilm Hua, Neend Ka Ek Jhonka Tha.
Apni Chahton Ka Ek Musalsil Intezaar Ka
Din-Rat Ki Duaon Ka, Kya Yahi Anjam Tha?
Agaz Acha To Anjam Acha,‚  Hamne To Har Kisi Sey Yahi Suna Tha.