Ulti Hogayen Sab Tadbeerain, Kuch Na Dava Ne Kaam Kiya
Dekhaa Iss Bemaari-E-Dil Ne Aakhir Kaam Tamaam Kiya
Ahd-E-Jawaani Ro Ro Kaata, Peeri Mein Li Aankhain Muund
Yaani Raat Bohat Thay Jaage, Subah Hoyi Aaraam Kiya
(Peeri=old Age, Aankhain Muund=ankhain Bund Karna)
Naahiq Hum Majboroon Per Tohamat Hay Mukhtaari Ki
Chahtay Hain So Aap Karay Hain Humko Abas Badnaam Kiya
(Naahiq=unnecessarily, Tohamat=slander/accusation, Abas=idle/useless)
Sarzad Hum Se Be-Adbi Tu Wahshat Mein Bhi Kum Hoyi
Kosoo.N Uss Ki Urr Gayi Per Sajdaa Har Har Gaam Kiya
(Sarzad=to Do,Wahshat=bechaini/besukooni)
Yahan K Saped-O-Siyaah Mein Humko Dakhal Jo Hay So Itna Hay
Raat Ko Roo Roo Subah Kiya, Din Ko Jiyon Tiyon Shaam Kiya
(Saped-O-Siyaah=safaid/kaala)
Meer K Deen-O-Mazhab Ko Ab Poochtay Kya Ho Un Se Tu
Qashqaa Keencha, Dair Mein Betha, Kab Ka Tark Islam Kiya