Uff, Ye Huzur Ka Andaz-E-Izhar-E-Ishq,
Na Bhi Nahin Kahte Aur Han Bhi Nahin Keh Pate.
Dhundhte Hain Humen Vo Har Bazm-E-Hayat Mein Par,
Milkar Vo Jhukate Bhi Nahin Palkein Utha Bhi Nahin Pate.
Sunkar Humare Hi Labon Se Hamara Hal-E-Dil,
Sikan Bhi Na Hoti Rukh Pe Muskura Bhi Nahin Pate.
Chupa Rakhi Hai Aaine-Seema Ne Gale Mein Phas Si Kuch Batein,
Par, Dikha Bhi Na Pate Vo Zazbat Aur Chupa Bhi Nahin Pate.
Aas Kare Hain Hum Bhi Rausan Hon Unke Nur-E-Ishq Se,
Khudaya Zalate Bhi Nahin Samma-E-Ishq Bujha Bhi Nahin Pate.
Liye Phirte Hain Sab-E-Roj Hathon Mein Aala-E-Quatl,
Phir Bhi Vo Kafir Quatl-E-Sahil Nahin Kar Pate.

By Anjan Kumar