Udaas Shamein Udaas Raste Kabhi Bulaye To Laut Aana,
Kisi Ki Aankhon Mein Suraj Ki Kirne Nazar Aaye To Laut Aana,
Abhi Naye Wadiyon Naye Manzaron Mein Reh Lo Magar Meri Jaan,
Ye Sare Ek Ek Kar Ke Jab Tum Ko Chod Jaye To Laut Aana,
Jo Shaam Dhalte Hi Apni Apni Panah Gharon Ko Laute Hai,
Agar Wo Panchi Koi Dastaan Sunaye To Laut Aana,
Main Roz Yun Hi Hawa Par Likh Likh Kar Uski Achchai,
Acche Mausam Agar Pahado Pe Muskuraye To Laut Aana,
Agar Andheron Mein Chod Kar Tum Ko Bhool Gaye Tumhare Saathi,
Aur Apni Apni Khatir Hi Diye Jalayein To Laut Aana,
Meri Wo Tujh Se Pyar Ki Baatein Jin Par Tu Khil-Khilakar Hasti Thi,
Bichadne Wale Meri Wo Baatein Kabhi Rulaye To Laut Aana.
By Rupesh Medhe