Tut Kar Bikhrein Hain Is Tarah
Ke Har Dard Ab Nasur Ban Gaya Hai
Pyar Ne To Tod Hi Diya Tha Mera Dil
Ab Har Dost Bhi Juda Ho Gaya Hai
Sochte The Dost To Wafadar Hote Hain
Har Gum Ke Raazdaar Hote Hain
Par Ek Dost Ne Hame Aisa Ilzaam Dia Hai
Ke Dosti Par Se Bhi Vishwaas Kho Gaya Hai
Hamne To Dosti Apne Dil Se Nibhai Thi
Par Hame Kya Pata Tha Usme Bhi Chupi Bewafai Thi
Har Dost Matlab Parast Nikla Mera
Bas Reh Gayi Mere Paas Meri Tanhaai Thi
Aajma Liya Jab Har Kisi Ko Tab Ye Jaan Paye
Koi Nahi Apna Har Preet Hai Parayi
Log Jise Apna Dost Keh Dard Apna Batate Hain
Vipati Mei Unki Hamei Har Chal Samajh Aayi
Koi Nahi Apna Har Preet Hai Parayi