Tune Khud Ko Mujh Tak, Badne Se Na Roka
Ab Meri Mohabbat Se Uoon Nafrat Na Kar
Tune Beparda Nigahon Se, Kiye Senkro Sawaal Mujhse
Ab Najro Ko Najro Se Meri, Uoon Tu Churaya Na Kar
Mere Rukhsaar Par Tera, Noor-E-Gulzar Is Qadar Barsa
Ab Zazbaaton Ki Lau Ko, Khud Apne Hi Haathon Uoon Tu Bhujhaya Na Kar
Qurbat Mai Teri, Thi Voh Chahaton Ki Garmi
Ab Qareeb Aakar Khudko Pigalne Se Mujhme, Uoon Tu Roka Na Kar
Apne Honton Se Choo Kar, Kar Diya Tha Be-Nazir* Mujhko
Ab Tabbassum Ko Mere, Apne Hontho Par Larazne Se, Uoon Tu Roka Na Kar
Matchless Or Extraordinary
Dil Nahi Sambhla Maana, Par Qadmon Ko Haddo Se Badaya Hota
Rishta Tera Mera Jud Hi Gaya, Ab Berukhi Se Daman Apna, Uoon Tu Chudaya Na Kar
Tere Zehen Mai Ye ”Ishq”, Kabhi Samaai Hi Nahi Thi Shayad
Ab Meri Qismat Mai, Khushiyon Par Jhootha Aitbaar, Uoon Tu Dilaya Na Kar
Fir Qareeb Aa, Aakar Mitade Darmiyaan Ke Ye Fasle Sabhi
Jaate Hue Mud-Mud Ke, Uoon Tu Muskuraya Na Kar
Tere Gaalon Par Hai, Jo Mere Labon K Nishaa,
Hai Gar Tujhe Bhi Mohabbat Mujhse
Toh Aansuon Se Voh Nishaa, Uoon Tu Mitaya Na Kar