Tumse Miloon To Mere Dil Ka Dard Aur Badhta Hai
Is Liye Socha Hai Ki Hum Aur Tum Milna Chhod Dein
Pyaar Ki Dor Jis Se Zindgi Bandhi Thi Hamaari
Ab Yahi Behtar Hai Dheere Se Woh Dor Tod Dein

Mujhe Yakeen Hai Ki Tumko Mujhse Pyaar Nahi Hai
Fir Bhi Aankhein Band Karke Saath Chal Rahi Hoo
Yeh Bhi Jaanti Hoon Tum Kar Rahe Ho Mere Dil Se Fareb
Fir Bhi Dil Se Tumhein Pyaar Kar Rahi Hoon Main
Pyaar Ke Naam Ka Ek Bharm Jo Maine Dil Mein Paala Tha
Ab Yahi Behtar Hai Us Aakhri Bharm Ko Tod Dein
Pyaar Ki Dor Jis Se Zindgi Bandhi Thi Hamaari
Ab Yahi Behtar Hai Dheere Se Woh Dor Tod Dein
Pyaar Ke Naam Par Jhootha Sa Ek Rishta Hai
Jiski Buniyaad Hi Dhokhe Se Rakhi Gayee Thi Kabhi
Ki Har Ek Haal Mein Har Kadam Pe Mere Saath Tum Rahoge
Jaane Kya Sochkar Yeh Kasam Uthaaee Gayee Thi Kabhi
Kadam Kadam Par Mujhse Kiye Thae Jo Tumne Jhoothe Vaade
Ab Yahi Behtar Hai Un Vaadon Se Hum Naata Tod Dein
Pyaar Ki Dor Jis Se Zindgi Bandhi Thi Hamaari
Ab Yahi Behtar Hai Dheere Se Woh Dor Tod Dein
Main Tum Mein Nahin Magar Khud Mein Kasoor Dhoondti Hoon
Aur Baar Baar Apne Dil Se Yeh Sawaal Poochti Hoon
Ki Mere Pyaar Meri Wafa Mein Kya Naa Paya Tumne
Kyon Bina Kasoor Bina Wajah Mujhe Itna Tadpayaa Tumne
Bas Ab Yahi Dua Hai Ki Teri Yaadein Mera Peecha Chhod Dein
Pyaar Ki Dor Jis Se Zindgi Bandhi Thi Hamaari
Ab Yahi Behtar Hai Dheere Se Woh Dor Tod Dein
Tumhaare Badle Hue Andaaz Mujhe Hairaan Karte
Hain
Tumhaare Badle Hue Lehze Mujhe Pareshaan Karte Hain
Main Nahi Kar Sakti Hoon Tumhaari Berukhi Ka Saamna
Saha Nahi Jaayega Mujhse Tumhaara Thokar Maarna
Is Liye Socha Hai Ki Ek Dusre Se Hum Moonh Mod Lein
Pyaar Ki Dor Jis Se Zindgi Bandhi Thi Hamaari
Ab Yahi Behtar Hai Dheere Se Woh Dor Tod Dein