Tumhein Suni Nahii Meri Sada, Koyi Baat Nahii
Tere Dar Se Laut Aayi Meri Sada, Koyi Gila Nahii
Tanhaa Batiyaate Rahe Us Par, Koyi Shikwa Nahii
Din Bhar Naaz Uthaye Rozi Ke, Koyi Shiqayat Nahii
Raat Jhuujhte Rahe Sannaton Se, Tujhse Tau Kuchh Kaha Nahii
Yaqeen Kaanch Se Toot Te Rahe, Tujhpe Tau Koyi Ilzaam Nahii
Par Meri Tanhaayi Kii Munder Pe Jo
Aksar Aakar Baith Jaate Hain
Mere Tarashe Huye Khayal,Mere Gair Haqiqi Waehm,
Mere Duur Daraaz Tasawwur In Par Sar Basar Haq Mera Hain-Â…
Kii Yeh Tau Teri Nemat Nahin-Â…mere Anjaane Sapne
Meri Phadphadaati Hasratein Meri Anchaahi Chaahatein
Meri Machalti Dhadhkanein,Meri Sulagati Saansein,
Mere Dilkash Gunaah Meri Tarasti Nigaahein
Mere Dil Ke Biyabaan Viraanon
Ke Sur Ke Saath Sur Milaate Ye Ranj
Ik Tees Jagaate, Ik Pyaas Badhaate,
Ik Tadap Dabaate, Palakon Pe
Rukte, Phisalte, Gaalon Pe Suukhte Yeh Aansoon
In Par Bhii Tamaam Haq Mera Hain Kii Yeh Bhii Teri Saugaat Nahi