Tumhe Sochkar Kuch Or Sochne Ka Dil
Ab Tak To Banaaya Hi Nahi
Tum To Keh Deti Ho Kuchh-Â…jamaane Ki Bhi Khabar Rak.Kho
Per Meri In Nazron Se Apna Chehra Hataya Hi Nahi,
Suno Mai Apne Muk Kaddar Se Lad Raha Hoon
Haar Mumkin Hai Ye Tumhaari Baaton Me Parh Raha Hoon,
Ye Pandit Bhi Kehte Hain-Â… Ke In Lakeeron Me -Ë—tum-‘ Nahi
Per Tumhaari Nigaahon Me Mai, Kuchh Or Hi Kahaani Parh Raha Hoon,
Ek Kaam Karo, Yoon Nazron Se Na Behlaao Tum
Faaslon Si Baat Kehkhar-Â…itni Nazdeek Bhi Na Aao Tum,
Socho Tumne Dil Ko Sun.Na Hai Ya Dimaagon Ko
Mai Saath Hi Hoon Tumhaare-Â…jab Chaaho Mujhe Aajmaao Tum,
Kambakht Khwaaishein Hain Ke Thamti Hi Nahi
Or Ye Waqt Hai Ke Bas Chutkiyon Me Guzar Jaata Hai,
Mai Jab Tumhaare Paas Aaun To Sabse-Â…door Ho Jaao Tum,
Kyonki Tumhaare Khaatir Ye Waqt, Sabme Bant Nahi Paata Hai,
Jaane Ye Mera Mukkaddar Tumko
Kis Kadar Door Le Jaaye Mujhse,
Leti Ho, To Ye Jaan Poori Hi Lelo
Yoon Lamhon Lamhon Marne Ka-Â…mujhse Hausla Na Ban Pata Hai.