Tumhe Aksar Mein Kahta Tha
Ki Ulfat Ke Takazon Se
Abhi Na Aashna Ho Tum
Abhi To Sard Jhonkon Se
Abhi To Weshi Hawahon Se
Tumhara Samna Hoga
Kisi Anjan Surat Ko
Dil Ka Raz Batla Kar
Kabi Wakif Nahi Karna
Magar Tum Ne Nahi Mana
Kahi Be Khawab Aankhon Ko
Kitab-E-Dill Parha Dali
Kabi Un Ko Nahi Parkha
Na Un Ke Dill Mein Jhanka Hai
Muje Malom Hai Jaana
Ke Aankhon Mein Chophi
Khawish Kabi Reza Nahi Hoti
Ke Jazba Mukadas Ho
To Bandan Jurh Bhi Sakta Hai
Zara Socho Mere Hamdam
Agar Jazbun Mein Thora Sa
Koi Napak Lamha Jazb Ho Jaae
To Bandan Tut Bhi Sakta Hai
Tumhe Aksar Main Kahta Tha
Ke Ulfat Ke Takazon Se
Abhi Na Aashna Ho Tum