Tumhari Kabr Par Mein Fatihaa Nahin Padne Aaya
Mujhe Maloom Tha,Tum Mar Nahin Sakte
Tumhari Maut Ki sacchi Khabar Jis Ne Udaayee Thi
Weh jhootha Tha.Weh Tum Kab The
Koi Sukhaa Hua Patta Hawa Se Hil Ke Toota Tha
Meri Aankhen Tumhare Muzron Mein Kaid Hain Ab Tak
Mein Jo Bhi Dekhta Hoon, Sochta Hoon, Weh Wahi Hai
Jo Tumhari Nek Nami Aur Badnami Ki Duniya Thi
Kahin Kuch Bhi Nahin Badla
Tumhare Haath Meri Ungliyon Mein Saans Lete Hain
Mein Likhne Ke Liye Jab Bhi Kalam Kaagaz Uthata Hoon
Tumhein Bhetha Hua Mein Apni Hi Kursi Pe Paata Hoon
Badan Mein Mere Jitna Bhi Lahoo Hai
Weh Tumhari Lazjishon Nakamiyon Ke Saath Behta Hai
Meri Awaaz Mein Chip Kar Tumhara Zahan Rehta Hai
Meri Bimaariyon Mein Tum, Meri Lachariyon Mein Tum
Tumhari Kabr Par Jisne Tumhara Naam Likha Hai
Weh Jhootha Hai
Tumhari Kabr Mein, Main Dhafan Hoon, Tum Mujh Mein Zinda Ho
Kabhi Fursat Mile Toh Fatihaa Padne Chale Aana