Tumhare Do Dhaar Wale Khanjar
Lahu Se Rangeen Kyon Nahin Hota
Chahe Kitne Zoron Se Ghayal Karo
Ekk Kharaash Bhee Nazar Nahin Aata
Jitne Hee Tumse Zakhmi Hota Hoon
Outna Hee Cheekhta Aur Rota Hoon
Sog Andar Hi Andar Bharakte Hein
Nain Behte Hein Na Chalakte Hein
Jo Ehsaas-E-Dard Mujh Ko Hota Hain
Tum Ko Mein Dikhlaa Nahin Sakta
Kaash Kee Ekk Qatraa Khoon Hee Behta
Tujh Main Thoda Raham To Soojhta
Tum Bedaag Khanjar Wale Kaatil Ho
Alfaaz Se Hii Mera Katl Karti Rehti Ho