Tumhaari Nigahon Mein Bante Khwabon Ko
Dekh Ker Pareshaan Ho Jaata Hoon,
Kahin Eisa To Nahii Main Tumko
Aasmaani Chaand Nazar Aata Hoon,
Suno Ke Mere Bheetar Jo Dard Hain
Wo Main Har Ekk Ko Nahi Batata,
Ho Sakta Hain Tumhaara Wada Ho
Dukhon Mein Saath Nibhaane Kaa,
Par Main Sirf Apne Dukhon Kaa
Tumhe Bhagidaar Nahii Bana Pata,
Ik Umr Gujar Gai Abto
Ye Tanhaai Aadat Ban Gai Ab To,
Romani Khayaalon Se Khud Ko To Theek
Par Tumko Behlaana Nahi Chaahta,
Jaane Mere Lafzon Mein Tumko
Kya Tasveer Nazar Aati Ho Meri,
Par Meri Is Shakl Or Akl Kaa
Duniyadari Se Mein Nahii Ho Pata,
Dekh Ke Naa Chu In Sholon Ko
Tu Door Se Hi Is Tapish Ko Mehsoos Kar,
Kahin Chot Na Pahunche Tujhko
Mai To Dard Baantne Mein Bhi Aksar
Apnon Ke Kaam Nahi Aata,
Itna Aasaan Nahi Sach Apnaana
Itna Aasaan Nahi Khud Ko Kholkar Dikhana,
Meri Nakamiyaan Meri Sharmsari Bhi Ho Sakti Hain,
Is.Se Aage Naa Tum Barhna, Naa Mere Hausle Barhana