Tumhaari Minnaton Par Wo Agar Kuchh Dhyan Na Deta
Zamana Naam Usko Phir Kabhee Bhagwaan Na Deta .
Mujhe Har Haal Mein Chaahat Tumhari Zinda Rakhani Thi
Tumhare Ek Ishaare Par Mein Warna Jaan Na Deta .
Na Hoti Usko Mere Chain Se Sone Ki Jo Chinta
Mujhe Aaram Karne Ke Liye Shamshaan Na Deta .
Huqumat Na Rahi Uski Khabar Usne Na Ki Zaahir
Yahi Dar Tha Ki Phir Koi Use Samman Na Deta .
Saza Uski Suni To Main Bhi Ander Tak Tadap Uttha
Yahi Ab Sochata Hoon Kash ! Main Bayaan Na Deta .
Shaheedon Ki Chitaon Par Lagenge Sirf Ab Mele
Agar Wo Jaanata To Phir Yahan Balidaan Na Deta