Tum Se Mil Kar Aesa Main Ne Socha Hain
Jheel Si Ghahri Aankho’n Ke Asraar
Kitabi Chahre Par Cha Jate Hain
Kis Ki Yaad Dilate Hain
Aankho’n Ka Kajal Dhul Dhul Kar
Kin Zakhmo’n Par
Umeed Ke Marham Rakhta Hain
Zakhmi Subh Ho’n Ko Takta Hain
Kiyo’n Shamein Bojhal Bojhal Si Ho Jati Hain
Tum Khali Khali Nazro’n Se Un Dhundley Dhundley Lamho’n Ko
Keya Takte Ho? Jo Dur Bahut Hi Dur
Ghumo’n Ki Wadi Mein Mandlatey Hain
Kuch Tasweerein Dikhlatey Hain
Lamha Lamha Tarpatey Hain
Ye Tanhaeei Ye Karb Ye Aanso’n Rahne Do
Aao Ke Apni Zaat Ke Sare Ghum Sari Khushiyaa’n
Aapas Mein Baant Ke Ji Lein Shayed Halat Palat Jaein
Yeh Bojhal Lamhe Kat Jaein