Tum, Mujhey Sneyh Do
Maatra Sneyh Bas
Aur Mujhey Kuchh Mat Do
Meyrey Meet Yah Sach Hai
Mein Naheen Chaahtaa, Swapn Bano Tum
Aur Neend Sey Bojhil
Alsaayi Aankhon Ko, Beywash Kar Do
Neend Na Aaye Achchhaa Ho
Mein Geet Ban Sakoon
Geet, Jisey Tum, Duhraaou To
Smaran Kar Sako Mujhey, Nirantar
Mujhey Smaran Karney Key Liye
Baadhya Ho Chiti Bhi Aur, Wahaan Bhi
Meyree Sattaa Aalokit Ho
Jab Bhi Gaaou, Jo Bhi Gaaou
Meet, Tumhaarey Mrudu Adharoun Par
Meyrey Prem-Geet Ki Pankti-Pankti Muskaaye
Aur, Padhh Sakoon Mein
Yun, Apnee Hi Kavitaa Ko
Tum Mein Punah Prasphutit Hotaa
Ram Prakash Garg -Ë—Ramwatiya-‘