Tum Mujhe Aawaaz Na Dena -Ë—ey Dil-‘
Gar Kisi Roj Mai Chup-Chaap Nikal Jaaon To,
Tum Mujhe Taalaash Na Karna -Ë—ey Dil-‘
Gar Kabhi Mai Tumko Nazar Na Aaun To,

Mera Dil Kabhi-Kabhi
Meri Akl Ka Saath Nahi De Paata,
Kabhi Mai Itna Khaamosh Ho Jaata Hoon Ke
Apni Awaaz Bhi Nahi Sun Paata,
Mumkin Hai Tumhe Ye Roshni Bhaati Ho Or
Mai Andheron Me Khud Ko Chhupata Rahun,
Tum Bajete Raho Mere Phone Ki Ghantiyaan Or
Mai Uski Aawaaj Se Katrata Rahoon.
Meri Ye Aawaargi Kabhi-Kabhi Mujhko
Door Us Kshitiz Tak Bhi Le Jaati Hai,
Jahaan Se Koi Apna-Paraaya Nazar Nahi Aata
Kuchh Pal Hi Sahi..Mujhe Koi Cheez Nahi Bhaati Hai,
Na Lagaao Itni Ummeedein Tum Mujhse
Mai Tumhaari Nazdikiyon Se Bhi Dar Jaata Hoon,
Ye Jo Ras Nazar Aata Hai Meri Baaton Me Tumko
Mai Har Waqt Ise-Â…orh Nahi Paata Hoon.