Tum Mere Ghar Na Aao Ey Dil
Mera Darwaja Meri Khidkiyaan mara Aaina
Sab Bolte Hai wo Jo Mai Nahi Bolta,
Ye Sach Hi Ke Tangdil Ho Gaya Hoon Kuchh
Baat Hi Kuchh Eisi Hain Ke Waqt Be Waqt
Inhe Ab Mai Kisi Par Bhi Nahi Kholta,
Tum Mere Ghar Na Aao Ey Dil
Ke Mai Tumse Kuchh Chhupa Na Paaunga-Â…
Meri Kitaabein Bikhri Padi Hai Kamre Me
Na Jaane Tumhaarai Kon Si Yaad-Â…ho Kisme
Jo Mai Tumhi Se Chhupaaunga
Wo Kaagazon Ke Purze, Chand Tasveerin Tumhaari
Wo Dupat.Te Ka Fata Hua Kona Wo Tooti Chhudiyaan Tumhaari,
Wo Sab-Â…jo Tumhi Se Chupakar Apne Saath Le Aaya Tha
Na Jaane Tumhe Kahaan Pade Mil Jaaein-Â…
Wo Sab Card-Â…jo Ham Tumhe Kabhi De Hi Na Paaye
Tum Mere Ghar Na Aao Ey Dil
Jo Abtak Chhupaya Hai Aage Bhi Chhupa Longa
Mai Apne Kamre Ko Kuchh Or Suthra Bana Loonga
Ye Jo Muskuraahat Hai Tumhare Chehre Ki Use Mitana Nahi Chaahta
Mai Apne Ghar Bulakar Tumhe Rulana Bhi Nahi Chaahta