Tum Ko Aanaa Bhi Naheen Hai Na Bulaanaa Hai Hamain
Ab To Lagtaa Hai Gam-E-Hijra Hi Khaanaa Hai Hamain
Aap Aatey To Hain Aateen Hain Hawwaayen Bhi To
Jaisey Kahteen Hon -ŗAaye Hain Ahbi Jaanaa Hai Hamain!-
Ham Naheen Jaantey Kyoun Ham Ney Mohobbat Ki Thee?
Khaak Honaa Bhi Naheen Un Ko Bataanaa Hai Hamain!
Paas Hotey Hain To Lagtaa Hai Hamaarey Hain Woh
Door Jaanaa Hai Unhain Paas Mein Aanaa Hai Hamain!
Aatish-E-Ishq Hai Rag-Rag Mein Phailtee Hai Yeh
Ab Bhi Jaaree Hai Isey Roz Jalaanaa Hai Hamain!
Jal Uthhey Hain To Khushbuoun Sey Mahaktaa Hai Ghar
Koun Kahtaa Hai Ki Ashkoun Sey Bujhaanaa Hai Hamain!
Kis Ko Maaloom Hai Kab Aayengey Aayengey Bhi?
Ab -Ë—Abd-‘ Bas Yahee Afsaanah Sunaanaa Hai Hamain!