Tum Kehti Ho Apna Dost Mujh Ko Aaj Smajahti Ho
Apna Sathi Mujhay Dukh Dard Saray Apnay Mujh Say Bantti Ho
Tum Kehti Ho Main Tumhara] Sub Say Acha Dost Hoon
Aur Yeh Dosti Hamesha Rahay Gi Aisay Hi Zinda
Magar Tum Say To Mera Sirif Barqi-Ro Ka Rishta Hay
[Barqi-Ro: Electric Wire]
Jub Tak Yeh Ro Qaim Hay Hamari Dosti Qaim Hay
Jis Din Yeh Bijlion Ka Rasta Band Huwa Hamari Dosti Bhi Khatam
Jaisay Shaakh Per Baithay Howay Kabootar Achanak Say Ur Jatay Hain
Tumhain To Mera Poora Naam Bhi Nahin Pata
Tumhain To Yeh Bhi Nahin Maaloom Keh Main Rehta Kahan Hoon
Sirif Aik Khayal Aik Tehreer Ko Tum Nay
Apna Sub Kuch Kaisay Maan Liya Agar Kabhi Mujhay Kuch Ho Gaya
Main Na Raha Ya Is Qabil Na Raha Keh Tum Say Taaluq Qaim Rakh Sakon
To Tum To Yehi Samjho Gi Na Keh Main Bewafa Nikla
Dosti Kay Rishtay Ki Qadar Na Ki
Aur Tumhain Chor Diya Jaisay Aik Kabootar
Jo Kabhi Tumhaari Chat Per Baitha Kerta Tha
Ur Gaya Aur Wapas Na Aaya Magar Yeh Bhi To Ho Sakta Hay
Keh Woh Kabootar Kisi Shikari Ka Shikar Ban Gaya Ho
Kaisi Hay Yeh Dosti Yeh Rishta Kaisa Rishta Hay