Tum Kaho Aaj Isee Lamhey Wahaan Saath Chaloon
Do To Aawaaz Isee Lamhey Wahaan Saath Chaloon
Mein Intizaar Kar Rahaa Hoon Azal Sey Tanhaa
Aaou Sartaaz Isee Lamhey Wahaan Saath Chaloon
Thakaa Huaa Hun Maantaa Hun Magar Is Sey Kyaa?
Cheyrh Parwaaz Isee Lamhey Wahaan Saath Chaloon
Baawafaa Ho Kahaa Hai Kis Ney Tumhain Harjaayee?
Mujhey Hai Naaz: Isee Lamhey Wahaan Saath Chaloon
Door Hai Us Kaa Aashiyaan: Chalo Maanaa Ye Bhi
Chhorh Andaaz Isee Lamhey Wahaan Saath Chaloon
Na Sahee Ishq Puraanaa; Chalo Nayaa Hi Sahee
Ab Ho Aagaaz: Isee Lamhey Wahaan Saath Chaloon
Mareez-E-Ishq Hoon Jaaou Na Chhorh Kar Tanhaa;
Karo Ilaaz: Isee Lamhey Wahaan Saath Chaloon
Mudddateyn Ho Chukeen Hain Tum Sey Jam-E-May Paaye:
Nazarnawaaz Isee Lamhey Wahaan Saath Chaloon?
Ab -Ë—abd-‘ Tum Sey Kyaa Chhupaa Hai? Chhupaauun To Kyaa?
Hai Kahaan Raaz? Isee Lamhey Kahaan Saath Chaloon?