Tum Jab Kal Aye The Mere Gar Tak
Aur Ruk Gaye The Bas Dar Tak
Main Sochata Raha Darwaze Par Kaun Khara Hai
Der Baad Main Samjha Woh Tum Hee The
Apni Parchayi Ke Saath
Aur Tuamhre Saye Ka Kad Tum Se Bhee Bara Hai
Tum Mere Darwaze Se Aa Sakte Ho
Tumhara Saya Nahee Aa Sakta
Tum Bare Bhee Hote To Jhuk Ke Chale Ate
Tumhara Saya Sar Nahi Jhuka Sakta
Mere Ghar Nahee Aa Sakta
Mere Ghar Ka Har Kivar Har Deewar Choti Hai
Har Baree Sheh Bahar Se Lautee Hai
Tumahre Saye Ke Pas Sab Kcuh Bara Hai
Tum Tumhare Saye Ko Chor Ke Kahi Nahi Jate
Isee Liye Tum Bahar Ho Saya Bhee Bahar Khara Hai
Ab Tumahre Mujh Tak Ane Kee Koyee Surta NaNahi hee Hai
Tum Mujh Se Alag Sahee Phir Bhee Tumhe Chahta Hun Par
Tumahre Saye Kee Mujhe Zarurta Nahee Hai
Jo Jhuk Nahee Sakta Mere Chhote Gharon Main Ruk Nahi Sakta
Jo Ruk Nahee Sakta Dil Use Ghar Main Rakh Nahi Sakta
Main Jan Gaya Hun Main Tumhe Bulta Rahunga
Tumhara Wazud Saye Ko Chor Ke Nahi Ayega
Ab Tum Bhee Chale Jayoge Saya Bhee Chala Jayega
Mere Ghar Koyee Nahee Ayega Main Mohabbat Hun
Yahan Jo Bhee Ata Hai Jhuk Ke Ata Hai
Jis Ka Saya Bara Hai Woh Saye Ko
Darwaze Se Bahar Rakh Ke Ata Hai
Main Jan Gaya Hun Main Tumhe Bulta Rahunga
Tumhara Wazud Saye Ko Chor Ke Nahee Ayega
Ab Tum Bhee Chale Jayoge Saya Bhee Chala Jayega
Mere Ghar Koyee Nahee Ayega