Tum Aate Ho, Mohabbat Ka Izhaar Karte Ho, Chale Jaate Ho,
Phir-Phir Aate Ho, Aur Ye Silsila Dohra Kar Phir Laut Jaate Ho,
Baatein Bahot Meethi Karte Ho, Apnaiyat Ka Andesha Hota Hai Unse,
Aur Jab Mohabbat Tumse Kuch Taqaaze Karti Hai Tum Uski Aawaaz Ko Ansuna Karte Ho,
Jab Kabhi Woh Tadapkar Kuch Sawaal Karti Hai,
Tum Use Sulgte Sawaalon Ke Beech Chod Jaate Ho,
Tanha Sulagte Rehne Ke Liye Jaise Ki Woh Sawaal Tumse Mansoob Nahin,
Aur Kabhi Majboor Hokar Wohtumhari Dehleez Pe Aa Jaye,
To Use Dekh Kar Tum Band Karte Ho Apne Dil Ka Darwaza Zor Se,
Is Andaaz Se Rishte Nibhana Mein To Tumse Kabhi Seekh Hi Nahi Paayee,
Tumhe Chahiye Koi Jalpari Aur Woh Goongi Bhi Ho,
Tum Samandar Pe Aao,Woh Muskurati Hui Bahar Nikle,
Tumhara Istiqbaal Kare Apne Man Ki Baat Bol Na Paaye Tumse,
Aur Jab Tum Apna Jee Behla Lo To Tumhara Farmaan Paake,
Woh Chupchaap Samansar Mein Jaake Let Jaaye,
Aur Phir Bahar Aane Ke Liye Tumhari Aawaaz Ka Intizaar Kare.

By Shabnam Sultana ‘Ada’