Tukde Jodd Kar Phir Aaj Dil Ko Maine Sameta
Aadatan Uske Ghar Ki Taraf Phir Chal Padde Mere Kadam
Ek Khayal The Zehan Mein Ke
Shayad Meri Raah Dekhta Hoga Wo Bhi
Aaj Har Intezaar Ko Khattam Kar Denge Hum
Dhadkan Ki Raftaar Kuch Tez Thi
Saanse Thi Thami Hui
Jab Dekha Maine Uske Ghar Ka Wo Aangan
Baitha Tha Kisi Apne Ke Saath
Chehre Par Uske Muskaan Thi
Shayad Usse Chuu Kar Bhi Nahi Guzra Mere Bichadne Ka Gham
Naye Rishte Bannakar Usne
Duniya Ek Nayi Basaayi Thi
Mere Na Hone Se Uski Khushiyan Kabhi Na Hui Kam
Dekh Kar Ye Manzar Aaj Phir Bechain Hoon Main
Lagta Hai Aaj Phir Khuda Na Hone Dega Mujhe Dafan
Kaisi Sazaa Uski Mohabbat Mein Roz Paati Hoon Main
Ke Marr Kar Bhi Mujhe Har Din Lautna Padta Hai
Kal Phir Jodungi Apne Toote Dil Ko Main
Aur Phir Uske Ghar Ki Taraf Chal Padenge Mere Kadam