Tujh Say Doori Ka Sabab Tangdasti Hay Meri
Kya Karon Kay Bin Baad-Baan Ki Kashti Hay Hay Meri
Dil Main Kuch Armaan Sanwernay Kay Nazar Aatay Hain
Per Zeyr-E-Nazar To Bikhri Hui Hasti Hay Meri
Bin Badal Bersaat Ka Matlab Yehi Samajh Liya Karo
Kay Dhoop Ki Firawani Main Nigah Barasti Hay Meri
Ger Ik Jaaiza Mere Sarapay Ka Liya Jaaye To
Dikhay Ga Zindagee Bhi Shaguftagee Ko Tarasti Hay Meri
Jo Kabhi Bhoolay Say Aa Jaaye Muskaan Lab-E-Baam
To Samajhna Kay Wohi Hawa Si Masti Hay Meri
Khizaan Kay Khanjer Nay Sanum Is Qadar Dhaya Hay Situm
Kay Her Ghari Dherkan Main Agan Dehekti Hay Meri
Bata Kasiay Dawat-E-Qayaam Doon Mausam-E-Bersaat Main Tujhay
Jaga Jaga Say Zara Chhat Bhi Tapakti Hay Meri
Likhay Gaya Naseeb Main Wo Dour Bay Khudi Kay
Reh Reh Kay Shikayat Lab Pay Ubherti Hay Meri
Apna Tujhay Mana Kya Or Karay Shaiki Yeh Bata
Teri Hi Khalish Main Yeh Zaban Chehekti Hay Meri