Tu Ne Jo Zakham Diya Hai Usse Mehkate Hoon
Harf-Ba-Harf Teri Baat Ko Dohraatee Hoon
Sochtee Hoon Keh Asoolon Se Baghaawat Kar Loon
Apne Bachon Ki Jo Aaankhon Mein Nammi Paatee Hoon
Shaayad Aaa Jaaye Sulagne Ka Saleeqa Mujhko
Shaam Hote Hi Charaaghon Se Lipat Jatee Hoon
Mere Dushman Ne Mere Haque Mein Gawaahi Di Hai
Par Zamaane Ki Daleelon Se Thakee Jatee Hoon
Teri Yaadein Meri Sochon Se Lipat Jaati Hain
Jab Sar-E-Shaam Kabhi Laut Ke Ghar Aatee Hoon
Mujh Ko Darr Hai Usse Ruswaa Na Zamanaa Kar De
Shehr-E-Janaan Se Guzarte Huwe Ghabratee Hoon
Gham Ki Kheti Kabhi Banjar Nahin Hone Detee
Jab Bhi Mumkin Ho Ghataa Ashkon Ki Barsatee Hoon
Yeh Meri Maan Ki Duaaon Ka Assar Hai Shaiyad
Saari Duniyaa Ko Jo Nida Nazar Atee Hoon