Tu Mujh Pe Karay Sang Ke Baarish
Main Zuban Bhee Hilaun To Gunahgaar Banun
Mainney Banaaya Aazaadi Ko Ahud Apna
Teri Tamnna Ki Main Tera Ahalkaar Banun
Meri Takhleeq Mein Nahin Jo Shokhion Ke Dum
To Teri Nazar Mein Koi Sukhnwar Hi Nahin
Main Afkaar Ke Hudd Se Guzar Jaaney Ka Huin Qayal
Or Terey Jahan-E-Adab Mein Main Koi Shaayar Hi Nahin
Meri Zidd Ke Main Isay Rifataun Pe Bithaun
Teri Shart Ke Main Isay Kuchh Neechay Utaar Lauon
Shaayri Mehaz Byaano Ishq-O-Raqeeb-O Saaqi-O-Jaam Nahin
Yeh Rah-E-Irtaqa-E-Insaani Hai Buss Fasun-E-Alfaaz Ka Naam Nahin
Daad Apnay Ashaar Ke Isliyey Shayud Kabhi Sun Na Paunga
Kaliyan Nishat-E-Tasleem-E-Fun Ke Shayud Kabhi Chun Na Paunga
Apnii Apnii Jagah Sagar Hum Tum Dono Hi Majbur Hain
Main Apnay Ahud Ka Hamil Or Teray Myaar Khud Mein Magrur Hain