Totay Aainoon Ki Kirchian Achi Nahi Lagteen
Mujhay Wadoon Ki Khali Sipian Achi Nahi Lagteen
Guzashta Rut Kay Rangon Ka Asar Daikho Kah Ab Mujh Ko
Khulay Aangan Main Urtee Titlian Achi Nahi Lagteen
Wo Kia Ujra Nagar Tha Jiss Ki Chahat Kay Sabbab Ab Tak
Hari Bailon Say Uljhi Tahnian Achi Nahi Lagteen
Dabay Paaon Hawa Jin Kay Chiraghon Say Bahaltee Ho!
Mujhay Aisay Gharoon Ki Khirkian Achi Nahi Lagteen
Bhalay Lagtay Hain Tufanon Say Lartay Badbaan Mujh Ko
Hawa Kay Rukh Pay Chaltee Kashtian Achi Nahi Lagteen
Yah Kah Kar Aaj Uss Say Bhee Ta’aluq Tor Aaya Hoon
Maree Jaan Mujh Ko Zidi Larkian Achi Nahi Lagteen
Kisi Ghar Main Rasan Basta Rahain Jo Raat Din Mohsin
Mujhay Aksar Wo Sahmi Hirnian Achi Nahi Lagteen