Toofan Mein Saahil Ki Zaroorat Hai Dosto
Ik Laash Hoon Qatil Ki Zarrorat Hai Dosto
Dil Jalaati Hai Sharaab Maana Buri Hai
Lekin Kise Ab Dil Ki Zaroorat Hai Dosto

Auron Ko Bhi Humne Is Dil Mein Basaaya Thaa
Pyaar Ko Samajh Humne Imaan Nibhaaya Thaa
Nafrat Ke Qabil Bhi Na Nikle Vo Meherban
Jaam Ki Jagah Jinko Hontho Se Lagaaya Thaa
Pyar Ke Qabil Mili To Bas Mili Sharaab
Is Pyaar Ke Qaabil Ki Zaroorat Hai Dosto
Dil Jalaati Hai Sharaab Maana Buri Hai
Lekin Kise Ab Dil Ki Zaroorat Hai Dosto
Qaazni Ne Kaha Humko Sharaab **** Do
Humne Bhi Keh Diya Tum Namaaz **** Do
Hakeem Keh Raha Hai Dil Ke Mareez Ko
Apney Is Dard-E-Dil Ka Ilaaz **** Do
Sharabi Ki Manzil Huaa Karti Hai Yeh Sharaab
Sharabi Ko Manzil Ki Zaroorat Hai Dosto
Dil Jalaati Hai Sharaab Maana Buri Hai
Lekin Kise Ab Dil Ke Zaroorat Hai Dosto
Aaghaaz Ho Chuka Hai Anjaam Baaqi Hai
Uth Kar Na Jaao Yuum Abhi To Shaam Baaqi Hai
Abhi Se Ladkhada Ke Girta Hai Kyun Dost
Pena Hai Aur Tujhko Yeh Jaam Baaqi Hai
Akele Hi Pee Lee Magar Tanha Bahut Hai
Tanhaaiyon Ko Mehfil Ki Zaroorat Hai Dosto
Dil Jalaati Hai Sharaab Maana Buri Hai
Lekin Kise Ab Dil Ki Jaroorat Hai Dosto.