Tofan Mein Nao Hai Tanha Jaise Koi Kinara Naheen
Koti-E-Qismat Hai Sabke Hum Koi Hamara Naheen
Rehne Dijiye Younhi Toofano Mein Koi To Saath Hai
Koi To Hai Ke Jisko Hamari Tanhai Gawara Naheen
Kabhi To Tootna Tha Mujhe So Toot Gaya To Kya Howa
Auj-E-Falak Pe Chamakta Rehta Mai Wo Sitara Naheen
Koi To Aaye Hamari Dehleez Par Ghaflat Mey Hi Sahi
Koi To Dastak De Kya Shehar Mein Koi Awaara Naheen
Dhondti Hai Nazar Koi Raushni Koi Khushi Har Jagah
Ye Bhi Hamari Tarha Hai Iska Bhi Koi Sahara Naheen
Kabsay Muntazir Hoon Jaane Maut Kab Meherbaan Hogi
Bas Yahi Baaki Hai Choota Humse Koi Nazaara Naheen
Udaas Kab Tha Kismat Se Mai Khadri Jo Shikwa Karta
Jaanta Hun Bina Gham Ke Koi Zindagi Guzaara Naheen