To Kiya Tumhain Main Kabhi Yaad Hee Nahi Aaya?
Kisi Gulaab Kee Khushbu Ke Bikharne Par Bhee
Zara Se Aab Ke Aankhon Main Utarne Par Bhee
Kitaab Uthate Huya, Geet Koyi Gaatay Huye
Ittar Lagatay Huay, Choorian Pehentay Huya
Sanwar Ke Der Talak Aa-Eenay Ko Taktay Hua!
To Kiya Tumhain Main Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya?
Subha Ko Uthtay Huay, Shaam Ko Teheltay Huye
Neend Naa Aaye Agar Karwatain Badaltay Huye
Kabhi Yoonhi Kisi Makhsoos Dhun Ko Suntay Huye
Faarigh Oqaat Main Koyi Kitaab Parhtay Huye!
To Kiya Tumhain Main Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya?
Barastay Abr Main Chhat Par Kabhi Kharay Hokar
Kisi Kay Rooth Kay Jaanay Pay Chirchiray Hokar
Kisi Saheli Say Bus Yoonhi Baat Kartay Huay
Kisi Khayal Main Bethay Se Uth Ke Chaltay Huay
Kisi Bhi Raat Ko Uth Kar Yoonhi Tehltay Huay!
To Kiya Tumhain Main Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya?
Akelay Yoonhi Kabhi Apni Dhun Main Chlatay Huay
Kisi Ki Saalgira Par Yoonhi Beheltay Huay
Kisi Oonchayi Pe Tanha Sambhal Ke Chartay Huay
Utartay Chaand Ka Mojon Main Aks Partay Huay!
To Kiya Tumhain Main Kabhi Yaad Hi Nahi Aaya?
Kisi Gulaab Ko Tehni Se Torr Kar Bhii Nahi
Kisi Darakht Ke Saaye Main Beth Kar Bhii Nahii
Apnay Darwazay Pe Dastak Koyi Sunkar Bhii Nahii
Kisi Dareecha-E-Makaan Se Jhaank Kar Bhii Nahii?
Apni Kitab Main Koi Naam Dekh Kar Bhii Nahii?
Yaad-E-Maazi Main Kaheen Door Doob Kar Bhii Nahii
Kisi Bhi Shakhs Ko Khamosh Dekh Kar Bhii Nahii
Kisi Bhii Aankh Ko Num Dekh Kar Bhii Nahii
Kahin Lafzon Main Koi A Dekh Kar Bhii Nahii
Azaan Hotay Hi Aanchal Se Sar Ko Dhaktay Huay Bhii Nahii?