Tishnagi Ke Samndar Kee Oot Se Aksar
Mai Chaand Ko Niharta Hun
Subh Usi Khaar Par Khade Hokar
Suraj Se Panah Mangta Hun
Fir Kisi Ke Intjaar Mai Der Raat Tak Jaagta Hun
Sune Se Pade Aakash Ke Taron Mai
Apna Mukkadar Khangalta Hun
Kisi Tare Ke Tutne Kee Ummid Liye
Har Tare Ko Talashta Hun
Fir Jab Thuk Jaata Hun To Kursi Pe Adhleta Sa
Tu Kabhi Fir Na Mile Khuda Se Yahi Dua Mangta Hun
Kyonki Meri Har Dua Ka Asar Ulta Milta Hai
Ye Baat Mai Bahut Achhi Tarah Jaanta Hun
Bahut Achhi Tarah Jaanta Hun