Tipu Ka Paygaam Shahi – Hukumat Ke Naam,
Saha Na Jayegaa Zulm-O-Sitam Aub Ke‚  Baad,
Karr Diyaa Hai‚  Humne Sar-E-Aam Ye Ealaan,
Chhuda‚  Yenge‚  Zalimo-‘n‚  Ko‚  Ye Hindostan-Â…
Aaj Tum Nash-E-Taqqat Me Ho Shar-Shaar Bahot,
Tum Samazte Ho Ke Hain Barod-O-Talwaar Bahot,
Tum Ne Jo Raah Chunie‚  He Wo Galat Hai Bilkool,
Tum Ne Jo Soch Rakkha He Wo Galat Hai Bilkool-Â…
Jism Mitt Jata Hai Nahi Mitataa Hain Insaan,
Dhadkane Ruk Jati Hai Nahi Rukte Hai Arman,
Sanse Thum Jati Hai Nahi Tutataa Hai Ealaan,
Honth Jum Jate Hai Nahi Badaltaa Hai Farman..
Tumhara Zor Mere Zamir‚  Ko Dabaa Sakata Nahi,
Inn Haatho-‘n‚  Se Talwaar Chhuda Sakata‚  Nahi,
Main Sirf Allahu-Wa-Ahadahu Ko Sajda Karta Hun,
Muze‚  Kissi Ki‚  Huqoomat‚  Zukaa‚  Sakati‚  Nahi-Â…
Zulm Se Garr‚  Baaz Na Aao Ge To Pachhtaao Ge,
Hum To Miten Ge Tum Bhi To Mitaa Diye Jao Ge..
Sheesh-E-Dil-E-Hindostani Jab Bhi Todaa Jayegaa,
Tut Karr‚  Fir‚  Wohi‚  Khanjarr‚  Me Badal‚  Jayegaa,
Khun-E-Hindostani‚  Bahekar‚  Kya Rang‚  Layegaa,
Nikharkar Fir‚  Wohi Subh- E- Aazaadi‚  Layegaa-Â…
Yeh Shauk-E-Shahaadat-E-Tipu Be-Asar Nahi Jayegaa,
Nara-E-Shahadat Ban Ke-Ë—raza-‘hind Me Gunj Ta Rahega