Thukraate Huwe Aaghe Baarhe Zaat Ke Patthar
Tukraaye Buhat Hum Se Mafadaat Ke Patthar
Yeh Shehr-E-Sitam Chain Se Rehne Nahn Detaa
Har Waqt Baraste Raahe Aafaat Ke Patthar
Ik Shuks Ki Taqdeer Men Pholon Ki Hai Barish
Auron Ke Muqaddar Men Halaat Ke Patthar
Hum Kis Se Karen Baat Nazar Aate Hen Humko
Har Shuks Ke Haathon Men Mafadaat Ke Patthar
Aei Dil! Yeh Raahe Yaad Ke Khidmaat Ke Badle
Har Rukh Se Chale Aayege Din Raat Ke Pattar
Chun Chun Ke Othaaletaa Hon Pholon Ki Tarah Men
Jab Bhi Mujhey Laghte Hen Teree Baat Ke Pattar
Khud Ko Na Bhulaa Itnaa Bhi Zalin-E-Imroz
Lagh Jayenge Ik Roz Makafat Ke Pattahr
Swaleh Kaaro Bardaasht Hai Inaam-E-Zaman
Lamhaat Ke Kankar Kabhee Din Raat Ke Patthar
Aye Khuda Ret Ke Sehra Ko Samandar Karde,
Ya Chalktee Huye Aankhon Ko Bhii Patthar Karde
Aur Kuch Bhi Mujhe Darkaar Nahin Hai Lekin
Meri Chaadar Mere Pairon Ke Barabar Karde