Thakan To Agale Safar Ke Liye Bahaanaa Thaa
Use To Yuun Bhii Kisii Aur Simt Jaanaa Thaa
Vahii Chiraag Bujhaa Jis Kii Lau Qayaamat Thii
Usii Pe Zarb Padii Jo Shajar Puraanaa Thaa
[Zarb=injury; Shajar=tree]
Mataa-E-Jaan Kaa Badal Ek Pal Kii Sarshaarii
Suluuk Khvaab Kaa Aankhon Se Taaziraanaa Thaa
[Sarshaarii=intoxication; Taaziraanaa=related To Trade]
Vahii Firaaq Kii Baaten Vahii Hikaayat-E-Vasl
Naii Kitaab Kaa Ek Ek Varaq Puraanaa Thaa
[Hikaayat-E-Vasl=tales Of Meetings]
Qabaa-E-Zard Nigaar-E-Khizaan Pe Sajatii Thii
Tabhii To Chaal Kaa Andaaz Khusrovaanaa Thaa
[Qabaa=long Coat Open In Front; Zard=yellow]
[Nigaar=beauty; Khizaan=autumn (Here Referring To Desolation)]
[Khusrovaanaa=like An Emperor]