Thak Gaya Main Ro Ke Aansu Chhupaate Hyue
To Haste Haste Aankhen Chhalak Aati Hain
Jaane Kaunse Dard Se Hain Dil Bhara Bhara
Jaane Kaunse Khauf Se Hain Zehn Dara Dara
Jaane Kis Puraani Yaad Se Bichharjaane Kaa Gum Hain
Tera Wo Rooth Kar Jaana
Fir Achaanak Muskuraana
Bheegi Palkon Se Phir Mujhko Jhaankna
Fir Mujhko Gale Se Lagaana
Chhote Bachhon Si Zid Karna
Har Baat Pe Bewajah Ladna
Yaad Aata Hai Tera Angraayi Lena
Apna Sar Mere Kandhe Pe Rakhna
Mera Haath Pakadna
Mujhe Der Tak Chup Chaap Dekhna
Wo Lamhe Yaad Aate Hain
Mujhko Bahot Rulaate Hain
Sataate Hain Jalaate Hain
Thak Jaata Hoon Jab Ro Ke Aansoo Chhupaate Hue
To Haste Haste Aankhen Chhalak Aati Hain
Bahot Yaad Aata Hai Wo Guzraa Zamaana
Wo Tera Bichhad Ke Jaana
Mera Kuchh Naa Kar Paana
Bas Tujhe Jaate Hue Dekhna
Wo Jab Thaama Tha Tu Ne Haath Mera Aakhri Dafaa
Badi Muskil Se Chhoda Tha Tumne Aakhri Dafaa
Jaanta Hoon Aansoo The Tumhaari Aakn Mein
Isiliye Mudkar Bhii Nahi Dekha Aakhri Dafa
Tu Be-Wafaa Nahi Thi Fir Bhii
Main Ba-Wafaa Tha Fir Bhii Kyu Judaa Ho Gaye
Mar Gaye, Lut Gaye, Bewafaa Ho Gaye
Bas Yahi Baaten Dil Ko Tadpaati Hain
To Haste Haste Aankhen Chhalak Aati Hain
Thak Jaata Hoon Jab Ro Ke Aansu Chhupaate Hue
To Haste Haste Aankhen Chhalak Aati Hain
Teri Yaaden Dil Ko Bahot Rulaati Hain
Sataati Hain, Jalaati Hain, Masalti Hain, Kuchalti Hain,
Teri Yaaden Dil Ko To Jaati Hain
Teri Yaaden Mujhko Kitna Tdpaati Hain
Thak Gaya Main Ro Ke Aansoo Chhupaate Hue
To Haste Haste Aankhen Chhalak Aati Hain