Teri Yaado Ki Shama Shabbhar Ham Jalaaye Hue Hain
Bite Lamhon Ko Apne Sine Se Jo Lagaaye Hue Hain
Aabehayaat* Barsaaye Koi Aa K Nargis-E-Mashiyat* Se
Phool Bag-E-Hasti Ke Meri Bhi Murjhaaye Hue Hain
Dard Yun Sah Sah Kar Na Raha Koi Waatsa Khalish Se
Haste Jakham Bhi Vafaa Meri Dohraaye Hue Hae Hain
Raah-E-Ulfat,Shaam-E-Afsurdagi, Vo Intzaar Ke Lamhe
Kitney Armaan Dil-E-Dasht* Mai Dafnaaye Hue Hain
Bheeg Jaayega Daaman Tera Aah-E-Khalish Se Sanam
Abra-E-Nigaah Dil Ki Zamin Par Jo Chhaaye Hue Hain
Jakhmo Ko See See Kar Jeena Hai Vafao Ka Yahi Seelah
Apne Jazbo Se Hi Ham Dil Par Chaut Khaaye Hue Hain
Mausam-E-Gul Ki Ham Tamnaa Ab Kya Kare Bhala
Sanam Bahaaro Ko Apne Labon Pe Sajaaye Hue Hain
Hoon Aksha Tera Mai Kahti Hai Aa,Eeneh Ki Jubaan
Jaan Kar Khud Ko Aaj Ham Bhi Hairat Mai Aaye Hue Hai
Nargis-E-Mashiyat*= Eyes Wid Gads Blessings
Shaam-E-Afsurdagi= Frustrated Evening
Abra-E-Nigaah= Clouds Of Eyes
Aah-E-Khalish = Silent Scream Of Pain
Aabehayaat= Amrit